Ye pyaar hota kya hai?
Ye pyaar hota kya hai?
Aaj jab mai tumse mila to maine wo ajeeb si khamoshi dekhi pr mujhe aisa nhi laga ki tum mujhse kuch kehna chahti hu,
Aisa laga ki tbas abse tum kuch kaho gi hi nahi, pr fir tumhari un nazro ne mujhtak ka wo raasta dhund hi liya
Jab nazre rasto ko dhundte nahi thakti
Jab saasein hr pal me tera naam kehti hai
Aur fir mai uus naam ko dohrata hu
Ye pyaar hai....
Bas tumhe kehne k liye aage aane hi wala tha pr khud ko piche khich liya hr baar taki chizo ko aur na uljha baithu
Aur fir tum thoda hi sahi paas to aagai, shayad kuch kehna tumko bhi tha ya maine hi man bana liya tha
Najane kyu mai khud hi chizo ko man hi man sach bana leta hu aur chahta hu ki tum bhi unhe sach man lo, pr bhul gaya ki tumhare hisse ki sacchai kuch aur hai
Tum mano na mano ye sacchai hi pyaar hai..
I've always considered you mine!
~kalash
Comments
Post a Comment
thanks for commenting, let me know if you have any doubt about the blogs