Accha nahi hai

Kabhi socha hai mujh pr kya bit ti hai
Jab mai bata nahi pata ki mai kya kehna chahta hu
Ya shayad mai kehna hi nahi chahta
Kabhi socha hai
Haa.. Jalan hoti hai mujhe jab kisi aur ko tumhare paas dekhta hu
Pr ye jalan mujhe tum pr kar rahe pyaar ka eehsas dilati hai
Isiliye ye jalan acchi hai
Har baar khud ko ye manaa k ruth ta hu ki ab tumse baat nahi karunga
Aur fir tum has k apne paas bulati ho
Ye hasii bhi acchi lagti hai
Bohit baar sochta hu ki aisa kya khaas karu ki mai tumhe pasand aa jau
Pr fir socht hu hki pasand aane k baad mai mai nahi rahunga
Ye mera badal jaana accha nahi hai
Har baar tumhare piche aane ki aadat si ho gai hai
To ab dar lagta hai ki mere jaane k baad tsra dhyaan kon rakhega
Ye mera chale jaana accha nahi hai! 
~Kalash

Comments

Popular Posts